Kitne ittefaq ki baat h .aaj hum bheed mai bhi akele rehgaye h, aur akela hokar bhi bheed ka hissa h . aaj hamare pass jitne aaram dene vaale saman h utna hi hum akele aur selfish ho gaye h ‘ jab tak hume matlab hota h tab tak hum uski care karte h phir apna matlab nikal jaane par uski baare mai sochte bhi nahi .Thank god ! hume bhagwan ne aisa nahi banaya h; hum apni puri life puri shidaat se saari responsiblity ke saat saare rishtey nibhaati h aur phir sabka saat dete dete humhe hi sabse jyaada akelepan ka saamna karna padta h. pehle parents ki suno, phir apni puri life husband ki suno aur phir budape mai bachche ki suno hum apni puri life apni saari ichchaye saari khusiya ko side mai rakhkar unki life ki backbone banti h phir bhi kya sunne ko milta h aakhir tumne kiya hi kya h? mai ye nahi kehti sabhi aise hote h par haa ! hote h. par jab unki support karne ki baare aati h mostly they never do that par aapko support bhi kyu chahiye hum multi tasker h pehle sirf ghar aur bachhche sambhalti thi but time has changed aaj hum ghar ,husband ,bachche ,job, sasural ,carrier manage karti h.toh kya hum apne life ke faisle nahi lesakti ?mai sab aurato ki baat nahi kararahi that they are not independent many are mai un middle class aurato ki baat kar rahi hu jo abhi ye sochti h mai kar hi kya sakti hu?
agar karugi to ghar aur bachche kaun sambhale ga .vaise bhi we are born fighters humhe paida hone se marne tak apne adhikar ke liye hum fight karti h .aksar maine dekha h. shaadi keshurwaat mei husbands wife ko aise chipke rehte h. “jaise fevicol ko jod h. tootega nahi!”aur dus pandra saal ke baad aur aaj kal toh. paanch saal ke baad hi husband bore ho jaate h. par aksar ek hi ghar mai rehkar ek dusro ke pasand na pasand ke baare mai pata hi nahi rehta . aur bachchon bada karte h. hum aur akeli reh jaati h. kyuki tab tak husband ki life job ,emi mobile aur unka laptop unke friends mai busy ho jaate h aur bachche bhi jab bade ho jaate woh bhi apni maa se space chahte h .isliye to aajkal depression anxiety aur various mental disorder aurato mai teji baad rahe h. toh hum apna akelapan kis ke saat baate . husbands apne carrier mai itne busy ho jaate h ki humhe unke waqt ke liye unke pichche bhaagti h aur woh aur dur chale jaate h. . koi bhi galat raasta nahi apnaaye.se achcha h. ek aisa friend rakhe jisse aap apne mann ki har baat usse share kare aur waqt aane par aapko sahi salaah de. woh koi bhi ho aapke parents ya aapke siblings ho, ya aapka school ya phir collage koi bhi friend ho jo aapko kabhi bhi akela nahi chodega everyone need a friend! ek aurat hi aurat ko achchese samazati h. kyu ki aurat hone ke naate vo uske dard ko mehsus kar sakti h.. Sabse best tarika akele pan dur ka tarika ye h ki aap apne maddat khud kare nobody can help u until you help yourself aap vo sab karne ki koshish kare jo aap hamesha se karna chahti thi.