Aajkal kaha woh heer-ranjhe , laila- majnu aur nahi romeo-juliet….rahe sachche pyaar kaha ab pyaar ka matlab sirf haasil karna h. ;” kehte h na aap paise se aap duniya ki saari dhan daulat kharid sakte h par sachcha pyaar nahi “.” I LOVE U”sunne mai kitna achcha lagta h . par.kya hum sachchi mai ye shabd ke arth samajte h? kya hum ye teen shabd ki ahamiyat samajte h. phir kyu pyaar ke naam par hamara sirf exploitation hi hota h. hum mai se aise kitne log hoge jinko pyaar karne ka mauka hi nahi milta h hume kitne aise h jo waqt se pehle hi aise anchahe aur anjaane rishtey mai hi zindagi bhar ke liye bandh diya jaata h. aur hum isi anjaane anchahe rishtey mai pyaar dhoondkar usehi sawaarthi h. hamari puri life doosre hi taay karte h humhe kya khaana h, humhe kya karna h kaha padna h , kya pehna h aur bahut kuch……hamare liye ye saare faisle hamare maa baap karte h .mai ye nai kehti ki sabhi aurate ke life ke faisle dusre hi lete h . par haa aaj bhi aise middle class , orthodox log h jo aurat ko azaadi dene se darte h phir bhi hum sirf pyaar ka ye ek ehsaas agar hum ne h apni marzi se karliya aur pyaar karne ke baad jise chahte h to ussehi shaadi ki toh humhe hi kyu samaaj ki khaatir bali di jaati h toh kabhi kisi ladke ka pyaar na sweerkarne par chehre par acid phekar chehra bigad diya jaata h, pyaar ka sirf ek hi taraf se hota h kya?jo ladki ka usse na chahna itna bada mudda kyu ho jata h ki sirf apna male ego satisfy karne ke liye kisika jeena ka maqsad hi cheenlo ; ;toh kabhi hamare apne hi apne jhooti samaan ki khatir hume hamare apno ne hi bali de di ; to koi maansi rogi ladki “naa ” sunne par uski izzat ke saat khelta h uska dosh bhi usshi ladki ko diya jaata h. aaj kal pyaar ke maayne badal rahe h . Kya ? pyaar sirf chinna aur kya sirf lene ka naam h ;sachcha pyaar to kabhi dukh nahi deta nahi kabhi aapse kuch maangta h sachcha pyaar nahi roop rang dekhta h nahi status sachcha pyaar aap jaise ho aapko waise hi sweerkarta h .pyaar kabhi aapse qurbaani nahi maangta h .sachcha pyaar aapko mushkilo se ladna sikhata nahi aapko muskilo mai akela chodta h.sachcha pyaar karne ka daava to sab karte h par nibhate bahut kam h.aap kehte “I LOVE U” par sach mai kitne isse nibhaate.
I LOVE U (part 1)
“Kehte h ye saari Duniya Pyaar se chalti h .jaha achchai h wahan Pyaar h, Duniya ka sabse khoobsurat ehsaas h ye Pyaar” Magar,jaisi Jaise Yug Badal rahe h waise, waise Pyaar ki paribhasa bhi Badal rahi h aajkal log bahut modern, practical aur selfish ho Gaye h Pehle Pyaar ek ehsaas hota tha Aaj Pyaar Sirf ek zarorrat ban kar hi reh Gaya h. Pehle Pyaar aankhon se uttarakar dilo mai basta tha aajkal pyaar sirf apne faayde ke liye kiya jaata h. mai ye nai kehti ki sachcha pyaar karne waalo ki is duniya mai kami h. par aajkal pyaar sirf khoobasooratee ,aur uska status dekhkar hi kiya jaata h . aaj ke dur mai sirf maa baap hi h jo apne aulaad ko sachcha pyaar karte h .aaj kal sachche pyaar ki koi keemat nai h . aur “aurat ko to kehte hi pyaar ki devi aur sabse jyaada wafaadari har rishtey mai usi se hi ki jaati h.par sach mai is pyaar ki devi ko puja jaata h kya usse woh har pyaar aur samaan milta h jiski woh haqqdar h. hamare mann mai to har rishtey ke liye beshumaar pyaar hota h.phir kyu hum apni jaan se jyaada pyaar karne waale maa baap ka dil dhukakar jawaani mai huye uss pyaar ko itni ahmiyat dete h.
RELATED ARTICLES