Bade ajeeb hote hai ,ye faasle;
Agar raasta lambha ho toh akele chalne par thaaka dete hi ye faasle; Agar raasta chotha ho toh khushi dete hai faasle;
Agar faasle dilo mai ho toh rulaate hai faasle;
Agar faasle jagah ke ho toh hassa dete hai ye faasle;
Sachcha aur achcha dost ho toh jaldi khatam ho jaaye ye faasle ;
Aur agar dost jhootha ho toh aur badh jaate ye faasle;
Kisi apne se milne jaana ho toh dil mai bechaini paida karte hai ye faasle;
Aur agar kisi ki jaan bachani ho toh dil dehla dete hai faasle;
Kuch faasle hai jo kabhie nahi mitte;
Dilo ke dard hai joh kabhi nahi dikhte;
Aaj iss faasl ko chalo kum karte hai;
Thoda sa tum jhuko thoda mai jhooko issi tarah hum tay karte hai har faasle.